Darbar mei
(Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee) x3
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Maynay to shifa islam ko di Apni beemaari ke sadqay
Quraan may kehta hay khaaliq sakhti moqoof hay taaqat pay
Khaaliq ki nazar may taaqat ka mafhoom hoon may majboor naheee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Hum logo ki hee shaan may to Khaaliq nay quraan utaara hay
Baat'on may wazan barhaanay ko wo qasmayn humari khata hay
Mery qasmayn khaayee"n khaaliq nay maqsoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Ruswa karwayay ga hum ko Darbaar may esay bulwa ke
Beshakenaakaam rahay ga tu Kehta hoon rab keqasam kha k
Hum to tatheer kewaris hayn masoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Khaaliq ka khalifa tehra mayn chaahoo'n to tera sab kuch lay loo'n
Iss takht pay bhi mera haq hay Jis takht pay tu naazaa'n hay you'n
Daadi ki tarha apnay haq say mehroom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Zara ghor karo iss ghasib par yay hirs o hawis ka taaba'y hay
Insaa'n ki haidayat ki khaatir Phirta hoo'n itnay dard lyay
Khaaliq kemehzar par khoo'n say marqoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Haqdaar'on ko mayn hee un kehaq ghaasib say dilwaata hoon
Mayn hee yay hawaayayn chalaata hoon mayn hee baarish barsaata hoon
Meray haath mayn waqt ki saansayn hayn, makhdoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Khud maynay keea qaidi ban kar Waada iss ko churwaanay ka
Waaris ko faatah e khaybar ke Zanjeeray rokesakayn geee kia
Peeta hoon zehar masaaib ka masmoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Hujjat ki waja say hee logo chalta hayn nizaam yay aalam ke
Mayraaj pay naana pbuh ka jaana aur waqt ka thamna kehta hay
Kaainaat ki khaatir laazim aur .malzoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Jo aqal may aa hee nahee skta Haan us khaaliq ko samjhaana
Maqsad hay azzyyat sehnay ka tumhay seedha rasta dikhlana
Ghayrat say jigar chalni hay mera..maghmoom hoon may majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee
Har eikeqadam par kehta hoon mayn fuzto bay rabbil kaaba
Makhlooq ki islaah ki khaatir iss tarha zulm o sitam sehna
Mera wirsa bhi hay zimma bhi . Mazmoom hoon mayn majboor nahee
Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee