Talaash karo
(Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo) x2
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Dasht e karbal say shaam tak usnay, Haayay kitnay tamaa'nchay maaray thay
Dil may laalach na ban k betha ho..apnay ander shimar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Shah ko aayay to maut k dar k say Saath denay ko wo nahee ayyay
Tum may koofi na ho koi ander maur ka dil may dar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Jis say inaam(reward) paanay ki khaatir ran may cheeni gayee thi, har chaadar
Haakim e shaam(l) to nahee dil may dil hay khwaahish ka ghar ..talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Aur kisi nay jala k khemo'on ko..aal e imran a.s ko aseer keea
Koi ghaasib to nahee hay dil mayn..khwaahish e maal o zar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Haq o baatil k do samandar hayn kis ka paani issay pilaatay ho
Dil may kausar tumharay behti hay...ya ke umvi nehar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Rooh..hay amr e rab maurkay nafs o rooh
May jaari hayn
Rooh e tauheed of nafs e insaa'n may jange karbal thee...gar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Chaar din ki hayaat ki khaatir...apni matti ..paleed kar betha..
Apnay armaan'on(desires) ka zara tum bhi..apnay dil par asar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Naam karnay ki chaah may khanjer..us nay khud..shah a.s par chalaaya tha..
Jung e karbal hee nazar ayaya gi...apnay dil may jidhar ..talaash karo...
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Shah ke dushman'on say us k sung ..gar tumhay intiqaam lena hay
Hirs o laalach bhi shah a.s k dushman hayn..dil mayn dushman ka sir talaash karo..
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo
Aur wo sheh a.s k ..sipaahee un may sirf rohaanyat hee paao gay
Maadd'yat k khilaaf ishq hua kesay seena sipar talaash karo
Zulm itnay huwe the kyu aakhir kyu luta sheh ka ghar talaash karo