Madh-e-Ali Asghar (AS) audio file
Madh-e-Ali Asghar (AS)
God may Imamat ki
intihaayay zulm par
sabr muskuraayay to
zulm kaanp jaata hay
sheer khwaar bachhay ke
Haydri lahoo may jo
shoq jaan denay ka
iss trha machalta hay
darmyaan'n hazaaro'on k
intihaayee mutma'in
teer aata dekh kar
hamd karnay lagta hay
aakhri sipaahi ke
hoslay ko dekh kar
baadshaah ki aankho may
ashkejhoom uth'ta hay
aakhri sipaayee youn
apni in adaao'n say
bhookay pyaasay baap ka
hosla barhaata hay
sheer khwaar bachhay ka
khoon laykar haath mayn
baap eikeyaas say
sooayay arsh takta hay
arsh thartharaayay to
dekhay wo zameen ko
wo bhi kapkapaati hay
phir wo moo pay malta hay
chand qadam par aikemaa
apni kaamyaabi par
shukr jo karay to phir
shukr ronay lagta hay
zulm aur shukr ki
jabr aur sabr ki
esi jung dekh kar
adl cheekh parta hay
zaalim'on say zulm ka
loonga khud hisaab mayn
koi hay jo arsh say
yay sadaayayn deta hay
kaainaat khaaliq ki
poochti hay hayrat say
aiy khuda bata humayn
iss tarha bhi hota hay?
kon hay yay baashah
kis ka yay gharaana hay
teray raastay mayn jo
esay zulm sehta hay
har nayi museebat par
koi muskuraata hay!!
koi hamd karta hay!!
koi shukr karta hay !!