Mere baba mere baba audio file
Mere baba mere baba
Mere baba mere baba (x4)
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba (x3)
Yahan se jayenge kab ghar (mere baba (x3))
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Judayi apne ghar ki raat din (mujhko rulati hai (x2))
Akeli hai meri khwahar mere baba, mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Nazar ke saamne dariya magar (tashna dahani hai (x2))
He pyaasa be-zuban Asghar mere baba, mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Zamin-e-Karbala kya hai kharida ham ne maqtal hai
Hai ham ne maqtal hai
Chamak te hai yahan khanjar mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Hamare khun ka pyaasa nazar (ata hai ye sehra (x2))
Bohot khuni hai ye manzar mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Phuphi ke ladle dono Ali (Asghar rahe zinda (x2))
Dua hai bas yehi lab par mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Mere dada sare jannat nazar (betab ate hai (x2))
Khula dadi ka dekha sar mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Sadaa Zahra ke rone ki me (sunti hun hawao me (x2))
Yahan lagta he mujhko dar mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar mere baba mere baba
Chacha ko royi royi bhayio(n) ko aur baba ko
Bhaiyyo(n) aur baba ko
Sadaa "Rehan" thi lab par mere baba mere baba
Sakina ne kaha rokar (mere baba mere baba) x2