Sayyed-e-Sajjad hai audio file

Sayyed-e-Sajjad hai

(Haay Sajjad, haay sajjad) x4

Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  1. Na koi ghamkhwaar hai (x3)
  2. Na koi pursadaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  3. Sar khule hai bibiyaan be warisi aur bekasi (x2)
  4. Bekasi ka towq hai aur kafela salaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  5. Har taraf lakho tamasha-yi hai aur ehle haram (x2)
  6. Do kadam chalna asiro ke liye dushwaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  7. Towq hai zanjeer hai beri hai aur ehle sitam (x2)
  8. Pao(n) me hai abale aur abalo me khaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  9. Noke neza par sar-e-Abbas rukta hi nahin (x2)
  10. Berida ehle haram aur majma-e-kuffaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  11. Kat ke girte hai adu ke qalb ye hai mojiza (x2)
  12. Khutba-e Zainab hai yaa ke hayderi talwaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  13. Ya Ali imdaad ko aajaiye darbaar me (x2)
  14. Marna jaye abide muztar bohot bimaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  15. Qaid me bali Sakina puchti thi baar baar (x2)
  16. Ay phuphi amma rihayi ka koi aasaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  17. Nawha khani ne muje izzat ataki hai "Husein" (x2)
  18. Apne nawha khaan se ye aale Nabi ka pyaar hai

    Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)

  19. Kuch nahin darkaar hai "Rehaan" nawho ke iwaz (x2)

Sayyade Sajjad ki nazre karam darkaar hai

Sayyade Sajjad hai aur shaam ka bazaar hai (x2)