Jab tak dar-e-Zahra ka audio file

Jab tak dar-e-Zahra ka

Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota (x2)

(Kashti ke liye) x2 koi kanaraa nahin hota

Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  1. Jo Panjetan e paak ki ulfat rake dil me (x2)
  2. (Wo chaand huwa) x2 karta hai taaraa nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  3. Hai col e Nabi jo meri itrat ka hai gustaakh (x2)
  4. (Wo ghair ka) x2 hota hai hamaara nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  5. Ye sajde dare Sayyeda ko bech ke dekho (x2)
  6. (Iss nafe ke) x2 sode me khasaara nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  7. Jab tak na lage naara e Haider sar e mehfil (x2)
  8. (Mehfil me) x2 malango ka guzaaraa nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  9. Hota na agar ooswaye aulaad e Payambar (x2)
  10. (Quran to kyaa) x2 ek bhi paaraa nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  11. De dete fidak Fatema Zahra ko jo waapas (x2)
  12. (Ye haal) x2 musalmaano tumharaa nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  13. Be hube Ali gar che kinaaraa bhi ho "Majid" (x2)
  14. (Dhokaa hai wo) x2 aankhon ka kanaaraa nahin hota

    Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota

  15. (Kashti ke liye) x2 koi kanaraa nahin hota

Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota