La illaha ilallah audio file

La illaha ilallah

La illaha ilallah (x2)

Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah (x2)

Jahaan Hussain wahaan la illaha ilallah

  1. Azaan me Ali Akber ne la illah kahaa (x2)
  2. To aaj tak hai jawaan la illaha ilallah

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  3. Pataa khuda ka bataa te agar na Aal e Nabi (x2)
  4. Azaan me hota kahaan la illaha ilallah

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  5. Ali ye kehte the bachna hai meri tegh se gar (x2)
  6. To phir hai shart-e amaan la illaha ilallah

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  7. Ali ko dil me basaa kar to dekh ay waiz (x2)
  8. To khud kahegi zabaan la illaha ilallah

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  9. Agar wilaayat e Haider nahin hai kalme me
  10. To phir hai wehm-o-gumaan la illaha ilallah (x2)

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  11. Koi jo puche ke Shabbir ka hai matlab kyaa
  12. To me ye dungaa bayaan la illaha ilallah (x2)

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  13. Ye bezabaani-e Asghar ka mojiza dekho
  14. Hai sab ke virde zubaan la illaha ilallah (x2)

    Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah

  15. Dar e batool nahin jal rahaa thaa ay Majid

Wo ho rahaa tha dhooan la illaha ilallah (x2)

Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah