Ya Ali Maula Haider Maula audio file

Ya Ali Maula Haider Maula

Ya Ali Maula Haider Maula (x4)

  1. Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula (x2)
  2. Mitaa detaa hai har gham isme azam ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  3. Kahaa man kunto Maula jab Nabi ne khum ke maidan me (x2)
  4. Kaha ashaab ne bhi bar ke baham ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  5. Qutub ho ghos ho koi wali ho ya qalandar ho (x2)
  6. Yehi naaraa hai sab ke lab pe dam dam ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  7. Koi bhi maareka ho jang ho ya koi maidan ho (x2)
  8. Rukaa kufaar ka dam sun ke peham ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  9. Alam Abbas ka jukne nahin de te julooson me (x2)
  10. Ootaa the hai alam ham keh kar har dam ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  11. Hamaraa deen aqida or nazariya fikr or mazhab (x2)
  12. Hamari tegh neza aur parcham ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  13. Sharaafat ne sharaf shahe najaf ke shehr se paayaa (x2)
  14. Karam Haider ke dam se hai mukarram ya Ali Maula

    Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

    Ya Ali Maula Haider Maula (x3)

  15. Me maal-o daulat-e duniya ko le kar kyaa karoon "Majid" (x2)

Mera paisa mera dinar o dhirham ya Ali Maula

Kahaa karte hai hum har lehzaa har dam ya Ali Maula

Ya Ali Maula Haider Maula (x3)