Allah Kisi Ma Ko Ye Waqt Na Dikhlaaye audio file

Allah Kisi Ma Ko Ye Waqt Na Dikhlaaye

Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)

Ay ibne Hassan (a.s.), Ay ibne Hassan (a.s.)

Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)

Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x3)

  1. Sehre ki jagaa nawha (x2) shaadi me parhaa jaaye
  2. Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

  3. Qaasim teri shaadi ka manzar hai ajab manzar
  4. Mehndi hai lahoo waali sehraa hai lahoo me tar

    Aisi to koi shaadi, haye

    Aisi to koi shaadi dekhi na suni haaye

    Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

  5. Sehra tera ashqon se behno ne sajaayaa thaa
  6. Quraan ke saaye me jab dulha banaayaa thaa

    Mehdaan se tum waapas, haye

    Mehdaan se tum waapas tar khoon me ghar aaye

    Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

  7. Paamaal huwaa laashaa maqtal me teraa aise
  8. Shabbir teraa laashaa daaman me chunne kaise

    Bikhre huwe laashe ko, haye

    Bikhre huwe laashe ko kis tarha oothaa paaye

    Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

  9. Armaan thaa Zainab ka Shabbir ki hasrat thi
  10. Farwa ki thamanaa thi Sughra ki bhi chaahat thi

    Quraan ke saaye me, haye

    Quraan ke saaye me baaraat teri jaaye

    Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

  11. Sab khaak huwe armaan miti me mili chaahat

Tooti hai sar-e-maqtal Shabbir pe ye aafat

Tukde teri mayat ke, haye

Tukde teri mayat ke daaman me ootha laaye

Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

"Rehan" sare maqtal shabbir ka nawha thaa

Ay ibne Hassan (a.s.)mujse oothaa nahin gham teraa

Dil meraa issi gham se, haye

Dil meraa issi gham se tukdon me bataa jaaye

Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)

Ay ibne Hassan (a.s.), Ay ibne Hassan (a.s.)

Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)