Bazaar Hai Aur Zainab (S.A.) audio file
Bazaar Hai Aur Zainab (S.A.)
Bazaar-e-Shaam, Darbaar-e-Shaam
Haye be-ridaa binte Ali
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Kya waqt paraa aa ke, darbaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Ma Fatema (s.a.) hai jiski aur binte Asad daadi
Ab sar pe nahin chaader bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Tab suwe najaf mur kar Zainab (s.a.) ke the ye naale
Ay baba masaaib ki bharmaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Aashur ko sarwar bhi rukhsat huwe duniya se
Ab Fatema Zahra (s.a.) ka gharbaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Har koi aseeron ko yoon dekh ke hasta tha
Har samt se pathar ki bochhaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Phir ghar ka bhi darwaza sholo se jalaa ya tha
Aur ab wohi ummat hai darbaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Majboor phupi bekas bas dekh ke rehjaa ti
Masoom Sakina (s.a.) ka rukhsaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Kufe ko bhi ay "Majid" aur Shaam ko dhaaya tha
Bas peshe e nazar ma ka kirdaar hai aur Zainab (s.a.)
Besharm zamana hai bazaar hai aur Zainab (s.a.)
Bazaar hai aur Zainab (s.a.)