Abbas ibne haydare karrar alamdaar audio file

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

 

(Abbas alamdar) x4

 

(Abbas ibne haydare karrar alamdaar, Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar) x3

 

1.     Tuj se hi wafaon ka bharam baqi hai mola

Islam ka tujh se hi alam baqi hai mola

(Abbas alamdar) x2

Karrar ka beta hai to karrar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

2.     Bachhon ke liye lenay gaye nahr se pani

Bachhon ki magar bujh na saki tashna dahani

(Abbas alamdar) x2

Ati hai sada ab bhi alamdaar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

1.     Dariya pe sakina ki gaye pyaas bujhanay

Pani ke ewaz kat gaye abbas kay shanay

(Abbas alamdar) x2

Darya ne bhi ro kar kaha har baar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

2.     Rukhsat kay liye aye jo abbas e dilawar

Zainab ne kaha kaise bachegi meri chadar

(Abbas alamdar) x2

Jaungi khulay sar sare darbaar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

3.     Apnay khulay sar ko kabhi zainab ne jo dekha

Aur neelay jo dekhay kabhi rukhsaar e sakina

(Abbas alamdar) x2

Chillati thi zainab sare bazaar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

4.     Ay bhai jo dariya pe tere hath na kat tay

Ham ahle haram is tarha be parda na hotay

(Abbas alamdar) x2

Ab ham pe masaib ki hai yalghaar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

5.     Tha shaam har ek dard uthati rahi zainab

Har gaam pe ghazi ko bulati rahi zainab

(Abbas alamdar) x2

Khwahar hai museebat me giraftar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

6.     Abbas ne bay parda jo hamsheer ko dekha

Neze pe sare hazrate shabbir ko dekha

(Abbas alamdar) x2

Rota tha sare neza wafadaar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

 

7.     Majidkabhi mushkil me jo ghir jate hai ham log

Is tarha husein us say amaan patay hai ham log

(Abbas alamdar) x2

Kehte hai alam thaam ke har baar alamdaar

 

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar

Abbas ibne haydare karrar alamdaar

Ay sheh ke wafadaar abbas alamdaar