Bolay shabbir bahan se ro kar audio file
Bolay shabbir bahan se ro kar
(Meray akbar
ka janaza aya) x2
(Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya) x2
1.
Umme layla
ko sambhalo ja kar
Meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
2.
Aye rukhsat ko
jab ali akbar shah bete se bolay ro
ro kar
Jao zainab se ab
ijazat lo tukday tha qalbe zainab
e muztar
Haye ab keh
rahe hai ro ro kar
meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
3.
Umme layla
pukaree ro ro kar ay meray
beta ay mere dilbar
Muj ko sharminda tum nahi
karna bibi zahra ke samne
akbar
Hal
kiya hoga ayegi jo
khabar meray akbar ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
1.
Ali-akbar chale
suwe maidan shah akbar k piche chalte
the
Yahan khaime me umme-laila
ki ankh se ashke gham nikalte the
Kaan me kehta tha
koi ro kar
meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
2.
Ali akbar kay
jab lagi barchhi gir ke shabbir
ko sada ye di
Awo baba madad
ko bete
ki haye sarwar
ki aas toot gayi
Dortay ja
rahay the ye keh kar meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
3.
Gohd me le kay lasha-e akbar
sha ne tab suwe aasman dekha
Bolay ay meray khaliq
e akbar kab
talak imtihaan hoga mera
Maan ko kaiisay bataun ye ja kar meray
akbar ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
4.
Arsh se tab sada ye anay lagi
apne dil ko sambhalo ay shabbir
Farsh par ho rahay ho tum muztar arsh
par
Wo farishton
se kehti hai ro kar meray
akbar ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
5.
Sheh jab akbar ki lash uthanay
lagay de rahay the najaf ki samt
sada
Dekho mazloomi meri
dekho zara awo meri madad
ko ay baba
Laash akbar uthao ab akar
meray akbar ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
6.
Nagahan khaimagah
e sarwar se bibi zainab ki ye sada
ayee
Me
uthaungi laashaye akbar aa
rahi hun madad ko ay bhai
Me
bhi awaaz dungi ye ro kar
meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
7.
Keh rahay thay hussayn bete
se ay mere laal ay mere akbar
Agaya waqte asr ay beta ali akbar azaan do uth kar
Saath me ye bhi keh
rahay the magar meray akbar
ka janaza aya
Bolay shabbir bahan
se ro kar, Meray akbar
ka janaza aya
8.
Khatte sughra
jab aya karbal me shah baithay the lash akbar par
Kaha majid jo rokay qasid say tum suna
do husayn ro ro kar
Keh rahay the husayn peet ke sar meray
akbar ka janaza aya