Deti hai sada Zainab audio file

Deti hai sada zainab

 

(Sar dekh ke bhai ka deti hai sada zainab) x2

 

1.     (Lo jald khabar bhayya) x2 ab hai berida zainab

 

2.     Jab ghar se chalay thay ham hai yad tumhe bhayya

Tum ne hi amari me (kis tarha bithaya tha) x2

Ab haath rasan me hai aur mehway buka zainab

 

3.     Godi me meri bhayya ye bachhi jo baithi hai

Mazloom sakina hai (ye aapki beti hai) x2

Iss ke liye deti hai ghazi ko sada zainab

 

4.     Dekho to zara bhayya ye haal mera dekho

Dekho to sakina ka (rassi me gala dekho) x2

Tum hi mujhe batla do bhayya kare kya zainab

 

5.     Na auno muhammad hai na qasimo akbar hai

Soye huwe dariya par (abbas dilawar hai) x2

Imdad ko bulwaye ab kis ko bhala zainab

 

1.     Wo jalta huwa khaima wo lut ti huwi chadar

Jab cheente the zalim (sajjad ka wo bistar) x2

Sab ehle haram bolay sar peet ke ya zainab

 

2.     Bazaar wo kufay ka aur shaam ki wo galiyan

Sar bhai ka neze par (khwahar ka tha sar uriyaan) x2

Har gaam pay sehti thi ek zulm naya zainab

 

3.     Shabbir ne akbar ka jab lasha uthaya tha

Ye keh kay suwe maqtal (khwahar ko bulaya tha) x2

Bhai ko sahara do dekho me gira zainab

 

4.     Nana se kiya tha jo wo wada nibhanay me

Islam ki kashti ko (toofan se bachanay me) x2

Bas do hi to banday hai shabbir hai ya zainab

 

5.     Ye aaj jo majlis hai ye aaj jo matam hai

Aur karbobala ka ye (har dil me jo ab gham hai) x2

Hai tere sabab majlis har ghar me bapa zainab

 

6.     Ay majid issi gham se dunya ko jagana hai

Awo ay husain awo (ye sab ko batana hai) x2

Dayngi ghame sarwar ki ham sab ko jaza zainab