Masum sakina hai audio file

Masum sakina hai

 

(Haay Sakina) x4

 

Haye sakina haye zindaan

 

(Masum sakina hai haye masum sakina hai) x2

 

1.     Ay shimr zara kuch rehm to kha betab hazina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

2.     Kuch aas nahin abbas nahin kab tak ise jina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

3.     Mat maar ise zalim mat maar ise zalim

Baba hai husayn iska do jag ka hai hakim

Bistar bhi nahin aur ghar bhi nahin baba ka na sina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

4.     Bachpan say bharay ghar ki adi bhi hai ye bachi

Bhooki bhi hai ye bachi pyasi bhi hai ye bachi

Akbar bhi nahin asghar bhi nahin na shahe madina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

5.     Baba ki dulari hai amma ki dulari hai

Abbas ka ye dil hai akbar ki bhi pyari hai

Ab koi kahan soona hai jahan kaisa ye qarina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

6.     Me bhai hun is ka sajjad hai naam mera

Ghamkhwaar hai ye meri ghamkhwaar hun me iska

Pabande rasan do bhai bahan ye gham hame pina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

7.     Asghar pe sitam dekha akbar ka bhi gham dekha

Apne baba ka sar neze pe alam dekha

Hai umr bhi kam us par ye sitam gham se bhara sena hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

8.     Kya guzri hai dil per sab ujar gaya gulshan

Gohar bhi chinte rahay aur jalta raha daman

Be rehm jahan har samt dhuaan toogan me safina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

9.     Masuma jo roti hai dil doobta jata hai

Kyun is ko rulata hai zahra ko rulata hai

Ab zulm na kar allah se dar ke qalbe hazeena hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

10.                        Sin chaar baras ka hai sadion ka alam dekha

Aada ka sitam kunbay ka bhi gham dekha

Is manzil par kown aya nazar zahra ya sakina hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai

 

11.                        Chillati rahi bachhi gham khati rahi bachhi

Ay majid aur husayn ghabrati rahi bachhi

Ye thi na magar bachhi ko khabar ab qaid me jeena hai

 

Masum sakina hai haye masum sakina hai