Me jata hun baba audio file

Me jata hun baba

 

(Khuda hafiz, khuda hafiz ay baba, khuda hafiz) x2

 

(Me jata hun baba) x2

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

(Me jata hun baba) x2

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

1.     Bimaar hun ay baba mera saath nibhana

(Me jata hun baba) x2

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

2.     Meri ragon me khune ali khune sayyada

Wada hai tere naam ki tash heer karunga

Rahon ke sitam baba me sine pe sahunga

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

3.     Tapte huwe sehra me badan tera para hai

Be jurmo khata sar tera neze pe charha hai

Sajjad tera kis tarha ye dekh raha hai

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

4.     Me shaame ghariba ko nazron me basa kar

Chehre pe karbala ki matti ko saja kar

Afsos ja raha hun me nazron ko juka kar

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

5.     Bazaar me jana hai darbaar bhi baba

Hai saath mere majmaye aghyaar bhi baba

Be parda haram lashkare kuffar bhi baba

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

6.     Baba tere abid pe qayamat ki ghari hai

Pa bande rasan be rida haye binte ali hai

Baba labon pe jiske faqat naame jari hai

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

7.     Har zulm sahunga magar shikwa na karunga

Bazaar ke manzar ko na me dekh sakunga

Tum saath hi rehna tumhe itna hi kahunga

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

8.     Awunga magar lowt ke wada he ye mera

Baba tera abid teri talkeen parega

Sine se laga kar tujhe me rota rahunga

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba

 

9.     Tanha tera abid hai nahin muniso yawar

Be saakhta yaad aatay hai abbase dilawar

Ha khun rulata hai mujhe shaam ka manzar

 

Maqtal se guzarte huwe sajjad ne kaha

Me jata hun baba