Imam-e-asr Jald aayiye audio file
Imam-e-asr Jald aayiye
Jald aayiye
(Imame asr jald aayiye) x2
wo fayz hukme kibriya
(hame bhi apna rukh dikhayiye) x2
jald aayiye….
Zahoor ho Khuda kare khuda kare Zaroor ho
(Har ek ke lab pe hai sada)X2
Har ek ki dil mai hai dua
Ali ke sher aa-bhi jaayiye
jald aayiye….
Hayat saath de agar ali ka dor dekhle
(Ali ka rob dab daba) x2
ali ki tegh la fataa
(hame bhi aane kar dikhayiye) x2
jald aayiye…….
Yazid waqt jo bhi hai, unhe mazaa chakhayiye
Banaame shahe karbala
Utha ke teghe murtuza
(Imam jald leke aayiye) x2
jald aayiye…
fareb aam hogaya, sharafate nahi rahi,
Din ki amaan ko
Hidayate jahaan ko
Khuda ka naam leke aayiye
Jald aayiye…..
Wo teen din ke tashnalab, jo teer ka hadaf huwa
Usi ke naam par zaraa
Wo intekaame karbala
(Yazidiyat ko ab mitayiye) x2
jald aayiye…..
shifa har aik ko mile, imame asr wazamaan
imam se duwa karo
adaa har ek ka karz ho
(madad ko aap jald aayiye) x2
jald aayiye…..
amal sudhaar ne ke baad, imam ko pukariye
ye arz sakht farz hai,
ye farz sakht karz hai
(jo karze dine he chukayiye) x2
jald aayiye……
wo fayz hukme kibriya
(hame bhi apna rukh dikhayiye) x2
jald aayiye….