Aaj roshan huwa
Aaj roshan huwaa hay ye saaraa jahaan
Haidery naare se gunj uthaa aasmaan
Teerween ki hay shab aaj logo suno
Kehtaa hay kiyaa ye chand ye logo suno
Pure arsh pe hay aaj jashn bapaa
Qulle imaan aaj hay paidaa huwe
Janashene nabi aaj paidaa huwe
Har ali waale ne ye khushi se kahaa
Jibreal – e – ameen ne ye di hay sadaa
Arsh per sab malak se ye us ne kahaa
Nure haider jahaan mein hay waarid huwaa
Aaj ki shab mein milke karen ye dua
Sabko roza ali kaa khudaraa dikhaa
Devri pe ali ki ye denghe sadaa
Aaj jashne ali hay yahaan per bapaa
Manqabat ab ali ki tu jaffer suna
Jum uthegaa aaj ye saraa jahaan