Aay farishto
Aay farishton meri qabr main abhi na aana
Kay maula(as) se baat ho rahi hai
Ik umr kati hai jis kay intezaar main
Filwaqt tang na kero ke mulaqaat ho rahi hai
Ali(as) kay lal ban jatay
fatima(sa) kay noor-e-aein ban jatay
agar shart na hoti sajday main sar katanay ki
yeh woh zamana hay lakhoon hussain(as) ban jatay
Ali(as) ka naam lene se kaza kamp jati hai
Museebat mein malango ke muqadar jeet jate hain
Tumhein yeh ghalat fehmi hai ke tum hum ko mita do ge
Tum jaise laakhon se bahatar jeet jate hain
Ali ka martaba kiya hai nabi jane khuda jane
hamari aqal hai mehdood hum jane to kiya jane
Nabi ke hukum pe hum to inhen mola samhajte hain
nusairi barh gaye had ne na-jane kuin khuda jane
Lahed mein mughe ko sone do farishton mughe se mat poocho
sar-e-mehshar mera kiya ho mera mushkil-kusha jane
Ager sunna hai kuch mughe se to bas nad-e-ali sun lo
phir iss ke baad tum jane mera hajat-rawa jane
Ali dast-e-khuda ain-e-khuda nafs-e-payamber hain
ali ko gar koi jane khuda-o-mustafa jane
Laga tu shauq se fatwe gham-e-shabbir per waaza
koi iss ko saza samjhe koi iss ko jaza jaane
Falak per kehkashan kiya hai yeh khak pae-haider hai
jise tum chand samjhe hum ali ka naksh-pa jane
Mile ga bait ke badle mein hum ko bait-jannat mein
tumhain shak ho to hum to muqaddar ka likha jane