Hai panjetan
Hay panjetan ki eid, eide mubahilaa
Hay momineen ki eid, eide mubahilaa
Hein godh mein hussein to dahine hein hassan
Piche hein fatemaa to piche abul hassan
Baatil kaa aur haq kaa hogaa muqablaa
Chehron ko dekh kar yun nasaraan ne ye kahaa
Ye kaisi shaksiyat hein mujhko nahi pataa
Hay nur sabke chehron se dekho to ab ayaan
Chup hogayee nasaaraan kutch keh bhi na sake
The aql mand paadri sacho se naa laren
Sacho ki jeet hoti hay sabko ye hay pataa
Majlis mein aaj milkar aawo karen duaa
Ziyarat ko panjetan ki ab ho sharaf aataa
Sab momineen aawo milke karen duaa
Iss eid ki khushi mein sab hein yahaan jamaa
Iss aaj ki khushi mein hein panjetan yahaan
Ab panjetan ki manqabat jaffer yahaan sunaa