Saaniye zehraa
Saaniye zehraa ki jo mein ne sunaayi manqabat
Jhum uthaa arsh saaraa khush huwe saare malak
Kiyaa samaan zehraa ke ghar tha kiyaa sunaawun mein tumhe
Zainab – e – ulyaa ki amad per ye khush tha saaraa ghar
Ilme zainab kiyaa bayaan kar saktaa hay koi yahaan
Jaanti thi meri bibi alamo kaa khushko tar
Kerbalaa kaa mojizaa to dekhiye ay momino
Kar rahi hay aaj tak zainab hukumat shaam per
Kerbalaa kaa maarkaa to shabbir ne sar karliyaa
Shaam ko sar karne aayi meri bibi shaam tak
Kis tarah shabbir kaa paigham pohchaa sochiye
Saaniye zehraa kaa hay ahsaan hum per aaj tak
Manqabat jaffer likhe gaa jab talak ye saans hay
Denghi usko bhi duwaayen shahzaadi hashr tak