Ya ali
Ya ali ya ali ya ali ya ali ya ali ya ali ya ali ya ali
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Ya ali ya ali ya ali ya ali
Jitne haaji the saare wahin ruk gaye
Reh gaye the jo piche wo aane lage
Phir kajaawe kaa mimbar banayaa gayaa
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Khum ke maidaan mein ye nabi ne kahaa
Sab kaa maulaa ay logoo ali ab banaa
Saaraa maidaan khum kaa bhi jhum uthaa
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Ek taraf se ye bakhin ki aayi sadaa
Mein nahi kehtaa ye hay sabhi ko pataa
Kis ne baghin ki di thi pehle sadaa
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Deen bhi aaj ke din mukammal huwaa
Jibreal – e – ameen ne nabi se kahaa
Khum ke maidaan mein tha khushi kaa samaan
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Eid se barh ke hay aaj ki ye khushi
Manqabat jab ali ki hay mein ne likhi
Naraye haidery se fizaa gunj uthi
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa
Hay gadhiri samaan aaj jaffer yahaan
Ab sunaa manqabat tu ali ki yahaan
Har ali waalaa ab jhum uthegaa yahaan
Khum ke maidaan mein ek naaraa lagaa