Zikr-e-hussain
Zikre hussein ne hame insaan banaa diyaa
Jo zikr se phire unhe haiwaan banaa diyaa
Kalmaa nabi kaa parh ke musalmaan hogaye
Ishq – e – ali ne saahibe imaan banaa diyaa
Jo kerbalaa ki khaak thi pur dard – o – karb se
Sheh ne usi ko dard kaa darmaan banaa diyaa
Zikr – e hussein sheikh tujhe nagawaar hay
Bad bakht tujhko kisne musalmaan banaa diyaa
Ghaafil tha mezbaani – e – shabbir se jo hur
Sheh mezbaan bane use mehmaan banaa diyaa
Qurbaani – e – hussein ne insaan ke liye
Izat se marnaa jine se aasaan banaa diyaa
Jitnaa bhi naaz khud pe kare kam hay ay wali
Jaffer ko bhi mawlaa ne sanaa khwaan banaa diyaa