Abbas(A.S) Meray Aaja audio file

Abbas(A.S) Meray Aaja

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)x2

Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

1.     Ayee houn kerbala mai Um-ul-Baneen(s.a) buun ker

Girnay na dongi tujh ke julti hoiee zamee per

Mai nay huta liya hai pehlo say haath apna

 (Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

2.     Chaha tha mai nay jaisa waisa kiya hai tu nay

Shabeer(a.s) per humaisha saya kiya hai tu nay

Ubb mai rida say apni karongi saya

(Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

3.     Ahl-e-hurum ki ghazi qismat mai tha na paani

Kyou sochta hai beta kaam ayee na jawani

Zainub(s.a) hai tujh sai raazi kya ghum hai meray beta

(Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

4.     Teray liye zamee per chader bhicha rahi houn

Tukleef ho na tujh ko pather hata rahi houn

Bazoo nahi hain teray doungi tujhay sahara

(Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

5.     Jubb say madina chora aik raat bhi na soya

Tu meri baitiyoo ka daita raha hai pehra

Loori sunaoo tujhko armaan hai ye mera

(Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

6.     Quran sumjh kay mai nay bazoo teray uthaye

Dil per lagay hain meray jo zukhm tu nay khaye

Nazroo mai Fatima(s.a) ki tu hai Hussain(a.s) jaisa

(Abbas(a.s) Abbas(a.s) Abbas(a.s) meray aaja)x2

(Phaylaye haath Zehra(s.a) kerti hai buun mai noha)

7.     Sadiyoo kay hai barabar haye “Ali” wo munzer

Kehti thi jubb “Takalum” bint-e-Rasool(s.a.w) roo ker

Ayee houn tujh ku lainay mai chour ker baqaiya