Haye Qasim(AS)
Haye Qasim(a.s) Haye
Haye Qasim(a.s)x4
Ibn-e-Hassan(a.s) ki laash
jo tukroo mai butt gaiee, Bolay Hussain(a.s)
meri tu dunya
hi loot gaiee, Ghoray jo dornay lagay
Qasim(a.s) ki laash per, Aiasa
laga kay shehrug-e-Shabeer(a.s) kutt gaiee
(Tokray paray hain
dusht mai Qasim(a.s) kay
jabaja)x2Noshah aik raat ka pamaal hogaya (Tokray paray hain dusht
mai Qasim(a.s) kay jabaja)x2
1. Khaimoo may aik shor-e-qayamat bapa howa
Bikhra howa hai
khaq per quran-e-Mujtaba(a.s)
Shabeer(a.s) ko
Hassan(a.s) ka jigar yaad aagaya
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
2. Qasim(a.s) ko dhondnay lagi
Shabeer(a.s) ki nazar
Sheh nay bichaa diya
hai ubba ko zameen per
Chon chon kay tukray rukhtay hain sultan-e-kerbala
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
3. Sehray kay phool saray zamee
per bikher gaye
Jin per lagi thi mehndi wohi haath
na rahay
Ek rooz mai
hayat ka nuqsha badul
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
4. Tuqdeer nay ye haye
kiya kaisa faisla
Bazoo joda hain
sar hai juda
aur badun juda
Pehchanay kaisay apnay
pisar ko wo ghumzada
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
5. Izaat tumhari kerta hai Shabeer(a.s) sa imam
Farwa(s.a) tumharay
sabr ko her maa ka hai salam
Qasim(a.s) ki laash aye tu sujdaa
adaa kiya
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
6. Ahl-e-harum jo aye madinay say lot ker
Rooti thi Sughra(s.a) Fatima Kubra(s.a) ko dekh ker
Kungna nahi tha
haath mai raasi ka neel tha
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2
7. Paigham aik maa ka Takalum jaha ko du
Ahl-e-aza kay ghur
may jo shaadi kisi ki ho
Laazim hai aye Ali waha
Qasim(a.s) ka tuzkera
(Tokray paray hain dusht mai
Qasim(a.s) kay jabaja)x2