Mai Tu Aaya Houn
Hussain(a.s.)
Ya Hussain(a.s)
Mai nay iss
dunya-e-fani pay hokumat ki hai
Mai nay
darya ki rawani pay hokumat ki hai
Mai nay
sehraoo pay paani pay hokumat ki hai
Mai nay
bachpun mai jawani pay hokumat ki hai
Mutt samjhna
kay mai tum logo say durr jaonga
Qatal ho ker
bhi mai zehnoo may otter jaonga
(Ya
Hussain(a.s)) x5
(Mai tu aaya
houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki mai takleef karo) x2
1. Tum samjhtay ho kay Abbas(a.s) ko
mara tum nay,
(Gurr ye socha tu ghalut socha hai sara tum nay) x2
Mutt samjhna meri janib say tumhay maafi hai
(Mera Abbas(a.s) to bay dast tumhay kaafi hai) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
2. Mai her ek zehn mai nafiz koi aaeen
karo,
(Raitt per naqsh mai khaliq kay farameen karo) x2
Jahiloo fiqr-e-Muhammad(s.a.w.) say jo bayganay ho
(Mujhko kamzoor samjhtay ho tu deewanay ho) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
3. Kaisay manzoor mai toheen-e-shareeat
kerta
(Aik bay deen kay hathoo pay baiyut kerta) x2
Mai ho farzand-e-Nabi dee ka nighaybaan houn mai
(Tum ko maloom nahi waris-e-quran houn mai) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
4. Meray mazboot irradoo ki nahi tum ko
khabur
(Mai shariyat ka nighaybaan houn bay khoof-o-khater) x2
Mujh say uljhoo gay to bay moout hi merr jaogay
(Mai agarr taigh othaloo tu kidher jaogay) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
5. Meri muthi mai hawa hai meri thooker
mai qaza
(meri nazroo kay isharoo say badalti hay faza) x2
Ek isharay say falak boos hawa ho jaoo
(Dekh lou aank uttha ker tu fana ho jaoo) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
6. Tum nay khut bhaij kay yasrub say
bullaya mojh ko
(Aur bay jurm-o-khata khoob sataya mojh ko) x2
Ye tu buss khaam khayali hai kay majboor houn mai
(Tum nahi jantay Allah ka dastoor houn mai) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
7. Mai tu aaya houn kay insaaf sikhaonga
tumhay
(Mai tu aaya houn kay imaan sikhaonga tumhay) x2
Soey zehnoo ko jaganay kay liye aaya houn
(Mai tumhay deen sikhanay kay liye aaya houn) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
8. Tum samjhtay ho kay Abbas(a.s) ko
mara tum nay,
(Gurr ye socha tu ghalut socha hai sara tum nay) x2
Mutt samjhna meri janib say tumhay maafi hai
(Mera Abbas(a.s) to bay dast tumhay kaafi hai) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
9. Kya sumjhtay ho kay Akber(a.s) ko
mita daala hai
(Tum nay ye sooch kay zehnoo mai junoo pala hai) x2
Jubb talak dehrr mai awaz-e-azza baaqi hai
(Jagtay zehnoo mai Akber(a.s) ki azza baaqi hai) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2
10.
Mai Hussain(a.s) ibn-e-Ali(a.s) mazher-e-yazda
ka pisar
(Tum ho napak iradoo kay pisar fitna-o-shar) x2
Dekhna taigh talay kaam wo ker jaonga
(Qatal ho ker bhi mai zehnoo mai utter jaonga) x2
(Mai tu aaya houn kay Allah ki tareef karo, kyou bhala taigh uthanay ki
mai takleef karo) x2