Mor Mor Kay Daikhtay
audio file
Mor Mor Kay Daikhtay
Khaimay say
runn ko jub
chala hum shuql-e-Mustafa(s.a.w)
Ahl-e-harum
may matam-e-Akber(a.s) howa
bupa
Husrut say daikhtay thay subb
oss dil kay
chain ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay
daikhtay raho Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
1. Daita khuda tujhay jo
koi nojawa pisar
Murnay ko jata saamnay teray
wo khoosh siyer
Na jaoo beta chour kay bekuss Hussain(a.s)
ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
2. Laila(s.a) kaleja thaam kay
kerti hain mursia
Meri kamaiee loot gaiee
Zainab(s.a) ki hai buka
Fizaa(s.a) tarup kay sonti hain
Zainab(s.a) kay ban ko
Shabeer(a.s)
dai rahay hain sada noor-e-ain
ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
3. Jeetay thay jisko dekh ker
ahl-e-harum tamam
Tasweer tha Rasool(s.a.w)
ki wo mera
tushna kaam
Maqtal ko lay chali qaza oss
ghur kay chain ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
4. Wahusrata ka shor hai her samt her jaga
Ghur mai meray
qayamat-e-sughra howi bupa
Kya koi rok payega iss shor-o-shen
ko
Shabeer(a.s)
dai rahay hain sada noor-e-ain
ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
5. Akber(a.s) nahi rahay tu
kya mai jeenay
paaongi
Jubb tuq jiyoungi
matam-e-Akber(a.s) manaongi
Ye durd maar daalay ga Zehra(s.a)
kay chain ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
6. Karyal jawa ki mout ka ghum
sehh na paaengay
Dil say laga kay
ghum yehi dunya say jaaengay
Ye loog aazmatay hain subr-e-Hussain(a.s) ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
7. Sarwar ka chehra dekh ker tunhaiee
ro pari
Izn-e-wigha tu dai diya benaiee chul bassi
Dongi duhaiee fatah-e-badar-o-hunain
ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2
8. Rukhsat ka ubb wa maajra kaisay
purhay Ali
Ye baat keh kay ro diya
khud Mazhar Abdi
Subb say bara ye ghum
mila bekuss Hussain(a.s) ko
Shabeer(a.s) dai rahay hain sada
noor-e-ain ko
(Mor mor kay daikhtay raho
Akber(a.s) Hussain(a.s)
ko)x2