Muhammad(S.A.W)
Ka Nawasa audio file
Muhammad(S.A.W) Ka Nawasa
Aye logoo Muhammad(s.a.w)
ka nawasa perdais mai mehmaan howa
hai
Falak per chaand nazar aya
muhurrum ka, bay sakhta aankhoo nay meri khoon bahaya, logoo
nay mujhay rootay howay dekh kai
poocha, shahzadi zara ye tu bata
ghum hai ye kaisa, kyou farsh-e-aza
aap nay ghur mai hai bichayaa,
(Sughra(a.s) x2 nay kaha ahl-e-madina ghur Zehra(s.a) ka wiraan
howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w)
ka nawasa perdais mai mehmaan howa
hai) x2
1. Iss chaand kay chehray pay zara dekho uddasi
Kerbal kay shaheedo
ki manata hai ye barsi
Hudd pichlay baras hum pay hoi zulm-o-jafa
ki
Iss chaand nay wo dard ki
roodaad suna di
(Ye chaand) x2 meray baba kay ghum
mai khud chaak garaiban howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
2. Iss chaand nay
khoolay hain wo yaado kay
darichay
Darya sai zara dour nazar aatay hain
khaimay
Awaz-e-atash aati hai
kanoo mai wahi say
Hai pyaso kay
hulqay mai Sakina(s.a) kay bhi
naalay
(Baqar(a.s)x2 bhi
mera pyasa musafir haye pyas
sai bejaan howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
3. Ashoor ki shub aye qayamat hoi burpa
Subb maaoo nay baitoo
ko qaree
apnay bulaya
Baloo ko sanwara kabhi paishani
ko chooma
Qasim(a.s) ko chichi
jaan nay dolha sa banaya
(Soraj)x2 nay khabur aakay sunaiee
ye qatal ka samaan howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
4. Baba ki sada ayee kay
humshakl-e-Payamber(s.a.w)
Wo waqt-e-qaza
aahi
Aaghaz hai iss jang ka ubb teri sada per
Aoo meray nazdeek
azza doo Ali Akber(a.s)
(Akber(a.s)x2 ki
azza dashat mai goonji ya
jung ka ailaan howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
5. Phir aik kay baad aik
gaye janib-e-maidaa
Her laash uthanay ko gaye sarwar-e-zeesha
Qasim(a.s) tu kabhi Aun-o-Muhammed(a.s) say dil-o-jaa
Hur(a.s) jaisa dilawar tu kabhi
Jon(a.s) sa mehmaa
(baba)x2 nay magar sar
na jukhaya ye deen pay ihsaan howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
6. Nagah sada khaimoo mai maidaan
say aye
Akber(a.s) nay kalayjay
pay sinaa zulm ki khaiee
Ye sontay hi ghush khanay lagi Zehra(s.a)
ki jaiee
Sarwar nay kaha lott
gaiee Laila(s.a) ki
kamaiee
(laila(s.a)x2 nay kiya
shukr ka sajda wo deen pay qurban
howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
7. Kaandhay pay rakhay
mashq-e-Sakina(s.a) wo Alumdar
Baba say ijazut kay
liye aaya wafadar
Alqisa mila iznn
chala janib-e-kufar
Mashkeeza bhara nehr
say anay laga jarar
(afsoos)x2 cheedi mashk-e-Sakina(s.a) pamaal her armaan howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
8. Phir dasht-e-bayaban
mai tunha howay baba
Hulmin ki sada dainay lagay Syed-e-wala
Ghazi ko pukara kabhi Akber(a.s) ko
pukara
Asgher(a.s) nay kaha baqi hai ek
laal tumhara
(pyasa)x2 hi sidhara wo
jahan say qatil bhi pashemaan howa
hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2
9. Mazhar mai ossi waqt
ko kehta houn qayamat
Nazdeek howa shah ka jubb
waqt-e-shahadut
Noha ye kiya Fatima Zehra(s.a)
nay bariqat
Purhh sakta nahi
qalb-e-ali mai nahi taqat
(Sughra(s.a)x2 ka her ek
lafz yaha per buss dard ka Quran howa hai
(Aye logoo Muhammad(s.a.w) ka nawasa perdais mai mehmaan
howa hai)2