Rida Dai Do
(Shaam Haye Shaam)x4
(Aray O shaam walo
mai saidani houn mojh ko
rida dai du dua dongi)x2
Aray O shaam walo
Ali(a.s) ki laadli houn mujhay pather
na maro, rida dai du dua
dongi
(Aray O shaam walo
mai saidani houn mojh ko rida dai
du dua dongi)
1. Meray Sajjad(a.s) ko qaidi
banaya mai nahi boli
Sakina(a.s) ka gala rasi
say bandha mai nahi boli
Magar ub bolti
houn buss itna rehm ker du, rida
dai du dua
dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
2. Mujhay tutheer hi
waris sumjh kay sirf ye soocho
Janaza bhi meri
madar ka uttha raat mai logoo
Khulay sar kaisay joao mai
inn galyou may soocho, rida dai du dua
dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
3. Aseer-e-zulm houn tashna dahunn houn
bewatan mai houn
Jo apnay bhai per subb kuch lota
day wo behn
mai houn
Bohat mazloom houn
mai meri faryad sunn lo, rida dai
du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
4. Ye sar Abbas(a.s) ka naizay
pe logoo kyou nahi rukta
Kabhi soocha nahi
kya ghum hai logoo maajra
hai kya
Behn ki beridaee
subbub iss ka hai logoo, rida
dia du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
5. Tamasha bunn gayiee Zehra(s.a)
ki beti kya
ye ghum kum hai
Akhi ki laash
say bepurda guzri kya ye ghum kum
hai
Mera chera na dekho tamasha mutt banao, rida dai du dua
dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
6. Inhee gulyoo mai kul baba
ka meray raaj tha logoo
Yahan sai berida
mai kaisay guzroo buss yehi sochoo
Mai choop ho ker sahongi saza kuch
aur dai
du, rida dai du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
7. Situm wo qulb per mai nay sahay jo dusht
mai dhaye
Sahar say shaam tukk
ghur mera ujjra khaimay julwaye
Ubb itna rehm
khao meri janib na
dekho, rida dai du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
8. Sar-e-naiza meray bhai ka sar bhi
khoon rota hai
Mera Sajjad(a.s) bhi
sar ko jhuka
ker ghum ye sehta hai
Wo ghum say murr na jaye
buss ek ihsaan ker du, rida dai
du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)
9. Ali wo shaam ka ghumnak munzer kya likhay
Mazher
Turup ker shaam
kay logoo say boli bint-e-Paighumber(s.a.w)
Saza-e-mout dai du mujhay ya phir
laenoo, rida dai du dua dongi
(Aray O shaam walo mai saidani
houn mojh ko rida dai du dua dongi)