Lahad mein
Lahad mein kibleru is buturabi ko litaa dena
Najaf ki paak mitti mein meri mitti mila dena
Mari hu nainawa ke aatishe hijra mein jald jald kar
Utha kar khak meri karbala ki simt uraale na
Jo marte dam peshani pe pasina mot ka awe
Mere maula tum aake apne daman ke hawaa dena
Sukoon-e kalb honga harsh mein didar tashaffafikaa
Bawakte nazr akar ya ali surat dikha dena
Khuda ko apni ye surat dikhate sharm ayengi
Siyaa kaare zamana hu kafan se mu chupaa dena
Muje tanha zamin pe dafn kar ke jab chale jaye
Fishaar kabr se ya buturab aakar bachaa lena
Sunaa he kabr mein shio ki khud shabbir ate hai
Mein so jawu to ay munkar nakir akar jagaa dena
Kiraa man katebeen ka kaam hai mere amal likhna
Ali ka kaam hai mere ghunaho ko mitaa dena
Ammal se go nahi jannat ke kabil ham rahe lekin
Khudaya apne bando ko jahannam se bachaa lena