Ay musalmaan kash
Ay muslamaa(n)
kash socha hota kay mohammed
ka nawasa hai yeh
Halate sajda me hai bekaso majboor
bhi
aur kai roz
ka pyaasa hai yeh
Aqal heyraa(n) thi isay
banda kay rehman kahey
Nokay nayza pe ise bolta
quran kahey
Ya to rab hai jokay bande
sa nazar
aata hai
Ghar hai insaa(n)
to khuda sa hai yeh
Boli zainab zulm shabbir pe
dhanay walo
Patharo(n) kay tale mayyat ko chupane
walo
Hay kaandey pe uthathey
the jinhe khatme rusul
Mere us bhai ka laasha hai yeh
Jis ka ghazi na raha aur
ali ali akbar
na bacha
Bhai ki laash pay khulke jisay ronay na diya
Aaj matam sare bazaar jo
hum karte hay
Issi zainab ka dilasa hai yeh
Sayyedon ka bhara ghar baar jalaya
kyu hai
Bibiyon kon sare bazaar phiraya kyu hai
Tune toh yeh bhi
na socha
kai jo qaidi
hai bane
Paak Zahra ka asasa hai yeh
Main hun zainab mujhe
haider ko
samajta kyu hain
Sun kay khutba mera
mal’oon bigarta kyu hai
Boli zainab kay yeh khutba
hi na hi sun ay yazid
Paak quran ka khulasa hai yeh
Saaniye zahra ki akhtar yeh
ataa hai tujhko
Noha likhne ke liye dard mila hai tujh ko
Tere alfaz mai hai fatema
zahra ki dua
Tere andaaz judasa hai yeh