Hy masjid main qatal
Ghazi ka baba hogaya.
1) Josh main aakar farishto
say laga kehnay khuda
Saar khula hai
Hashar say pehlay yeh kaisa
hashar barpa hogaya.
2) Aagayee pardes
main saadaat pay barbaadiyaan
Lut gayee
hai koofa main konain ki shahzaadiyaan
Kat gayey sajday main Haider dheen zinda hogaya.
3) Dekh kar baba ko zakhmi ro rahee
hain baytiyaan
Arsh pay saaray
faarishtay lay rahay hain siskiyaan
Aasmaan hilnay
laga nabiyon pay sakta hogaya.
4) Hai abhee Shabbir-o-Shabbar aur alambardaar hai
Ghar hai
teray baba ka, kab Shaam ka bazaar hai
Saniyey Zahra tumhaara sir kyun nunga hogaya
5) Rakh lia jhooli main sir aapka Shabbir nay
Dekh kar
baba ko zakhmi
yeh kaha dilgeer nay
Hai koofa
main yeh manzar karbala ka hogaya