EY WAFADAAR E HUSSAYN - EY ALAMDAAR E HUSSAYN AUDIO FILE

EY WAFADAAR E HUSSAYN - EY ALAMDAAR E HUSSAYN

deher mey(n) rasmey wafa terey gharaney sey chali

dee(n) ki sarkaar khadija key khazaney sey chali

kishti-ey haq abu talib key chalaney sey chali

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

ab bhi bey misl hey tareekh mey imra(n) ki wafa

jis ne honey na diya qatl rasoole do-sara

is sey pehley kabhi dekha na suna eysa chacha

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

deeney islam ko parwan char(r)haya jis ney

apney bistar pey bhateejey ko sulaya jis ney

woh tera jad hey muhammad ko bacchaya jis ney

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

phir wafao(n) ney liya haider e karrar ka naam

saari dunya ko diya jis ney wafa ka peyghaam

fakhar kartey the sada jis pey sada rasool e islam

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

kon laaye ga zamaaney mey misaal e hayder

teer khud rok liye jism pey apney bar(r)h kar

haa(n) magar aanch na aaney di kabhi bhai par

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

1--- ab zaroorat thi key ik eysa wafadaar bhi ho

jo payambar key nawasey ka tarafdaar bhi ho

tegh utha ley to wahi hayder e karrar bhi ho

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

2--- jiska saaya ho haram par wo ridaey(n) maangi

jo kabhi khatm na ho(n) eysi wafaey(n) maangi

aa key hayder ney musalley pey duaey(n) maangi

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

3--- daamaney fatema zahra ka woh almaas bana

sab rasoolo(n) ki wafao(n) ka woh akkaas bana

jab dua d(d)hal gayi peykar mey to abbas bana

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

4--- jholiya(n) sab ney bhari hey(n) teri kheyraaato(n) sey

tera iysaar numaya hey teri baato(n) sey

likh di tareekhey wafa tu ney kat(t)ey haatho(n) sey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

5--- tu qamar hey meri taqdeer munawar kardey

no jawaano ko fidaye ali akbar kardey

merey baccho(n) ko ghulam e ali asghar kardey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

6--- terey parcham key taley saarey azaadar rahey(n)

jaa(n) lutaney key liye deen pe tayyar rahey(n)

martey martey bhi shahe dee(n) key azadaar rahey(n)

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

7--- bhai ko bhai sey tawfeeq e wafa dey mola

be hayai ki hey  yalghaar  haya dey mola

qaum ki behno(n) ko gheyrat ki rida dey mola

 ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

tu hey hashim ka qamar noor e haqeeqat de dey

mujh sey jahil ko zara darsey shariyat de dey

or baccho(n) ko merey ilm ki dolat de dey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

8--- jazba e ishq ko parwaan chharha dey mola

apney darbar ka deedar kara dey mola

qaum ko shah ka zawwar bana dey mola

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

perowey bu zaro qambar hey bilal sarwar

teri dehleez ka nokar hey bilal sarwar

................... tera ................ hey bilal sarwar

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

9--- dil mey hasrat hey key jis khaak pey quran gira

fatema zehra (sa) ne baalo(n) sey jisey saaf kiya

wo jaga dekhu(n) jaha(n) qatl huwey shahey huda

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

10--- wo jaga dekh luu(n) akbar jaha(n) ghor(r)ey sey gira

 wo jaga dekh luu(n) asghar ko jaha(n) teer laga

wo jaga dekh luu(n) qasim jaha(n) paamaal huwa

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

sheh ki tanhai zara dekhney aao abbas

sakht mushkil hey na ab deyr lagao abbas

kon rukhsat karey bhai ko batao abbas

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

bhanjey qatl huwey kasim muztar bhi nahi

merey nana ki nishani ali akbar bhi nahi

mukhtasar ye hey key gehwaarey mey asghar bhi nahi

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

11---dekho zanab ka jigar gham sey phata jaata hey

shimr khanjar liye seeney pey char(r)ha jaata hey

jald aawo key gala sheh ka kata jaata hey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

dekh sheh qatl huwey aur idhar aag lagi

merey bhayya merey ghazi merey abbas jari

ye to batlao kidhar jaye bhala aaley nabi

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

12--- laakey gauhar jo bar(r)ey pyar sey pehnaye the

shimr kano sey wahi kheeench raha hey bun-dey

tum ko ro ro key bulati hey sakina kab sey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

kyu(n) terey aanney mey takheer huwi jaati hey

jaa(n) ba-lab dukhtarey shabbir huwi jaati hey

bey rida balwey me hamsheer huwi jaati hey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

13--- waqtey imdaad he e’jaaz dikhao abbas

tum ko ab maa ki qasam neher sey aao abbas

aakey beti ko tamaacho(n) sey bachao abbas

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn

 

14--- binte sarwar ki fugha(n) qalb ko barmaati hey

ammu ammu ki sada rooh ko tar(r)paati hey

 istaghasey ki sada ab bhi bilal aati hey

ey wafadaar e hussayn - ey alamdaar e hussayn