Shaam-ey gham hey karbala hey hai
fizza kya karey audio file
Shaam-ey gham hey karbala hey hai fizza kya karey
Shaam-ey gham hey karbala hey hai
fizza kya karey
Ghar nabi ka lut raha hey hai
fizza kya karey
Hai zehra
ka gharana khoon mey dooba huwa
Jalti reti pey parra hey hai
fizza kya karey
Fatema zehra ki mehnat ho rahi
hey payemaal
Halqe sarwar kat raha hey hai
fizza kya karey
Sab tamashai bharey hey(n) koocha
o bazar mey(n)
Binte hayder bey rida hey hai
fizza kya karey
Khoon rey rangeen pushtey aabid e beemar hey
Shimr korrey maarta hey hai fizza kya karey
Shimr ney khee(n)chey hey(n) bundey dukhtarey shabbir key
Kaano(n)
sey khoon beh raha hey hai
fizza kya karey
Saatso kursi nasheen hey(n) zulm
key darbaar mey
Aur sarey zainab khula hey hai fizza kya
karey
Choomtey they jin ko hayder ab
inhi shaano(n) pey aah
Taaziyaano(n)
ki jafa hey hai fizza kya
karey
Jiskey pardey key sabab nikla na tha kal
aaftaab
Aaj us ka sar khula hey hai fizza kya
karey
Bey kasi
ka dard o gham ka ey bilal kaazmi
Ye sada
ik marsiya hey hai fizza kya
karey