Karbala tazeem kar
Kerbala Taazim kar, aai bahan Shabbir ki
Jaake kadmose lipat, tu Zainab-e-dilgeer ki.
Dekh istekbaal ko hay, Furaat-e-Shamshir ki
Puchhle unse sitam, zindaan ki jaagir ka
Daagose chhalni jigar hai, Shaah ki hamshir ki
Kya tarapna soon sakoge, maadare beshir ka
Wo gilaa kisse kare, ruthi hui takdir ki
Reh gayi hai Shaam me, wo laadli Shabbir ki
Kerbala Taazim kar, aai bahan Shabbir ki
Jaake kadmose lipat, tu Zainab-e-dilgeer ki.