Chaalis baras rote audio file
Chaalis baras rote
(Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar) x2
- Taa Umr samaaya rahaa aankhon me woh manzar
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar
- (Dekha tha ini aankho se ghar apna ujarta) x2 Begoro kafan laashe shaheedon ke zameen par
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- (Phirta hi raha aankho mei bhaayi ka woh laasha) x2 Barchi thi kalaje mei Ali sine ke baahar
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- (Guzre the kahaan ranj bohot poocha kisine) x2 Ash shaam hi Ash shaam kahaa sar ko jukaa kar,
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- (Daawat koyi detaa to yeh farmaate the Sajjad) x2 Ghar mujhko bulana hai to majlis ko bapaa kar
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- (Dekhe the jo Aashur ko uththe huwe shole) x2 Taa umr dua uthta raha aah mei dal kar
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- (Kya Guzri dile Sayyede Sajaad pe us dam) x2 Jab loota gaya bibiyon ka makna-o- chaader
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.
- Taa Umr samaaya rahaa aankhon me woh manzar
Chaalis Baras rote na kyun Abide Muztar.