Imaame Zamana audio file
Imaame Zamana
Shahan shahe doraan, zamaaneka rehbar,
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Bari aafate hai zamanepe mawla, pareshan shiyaa kaha jaaye mawla,
pukara tumhe jab huwa dil jo muztar,
khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Balaao ne ghera nahi koi saathi, andhera hai harsu oodasi hai chaai, tumhare kadamse ho duniya munawwar,
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Bhawarme hai kashti bachaneko aawo, ghame zindagise churaaneko aawo, muhammed ki jaa ho safineki langar,
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Hame illm aur ma'rifat ab ataaho, sada kat basirat hidaayat ata ho, bacha lena sarwar hame rawze mehshar
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Gunehgaar hu aur sharminda mawla, magar aap per hi hai mujko bharosa,
karo rehbari ab baraye payambar
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Tamana ye dilme bohot kuchh hai meri, hai oommid hogi bohot jald puri, mere hakme kar diji jo kuchh ho behtar,
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2
- Karu zikr sub'ho masa aapka me, na ghairo ki dilme muhabbar rakhu me,
baland kijiyo sayyada ka muqaddar
Khabar lije mawla (imaame zamana) x2