|
Dekho
buturab aa gaya
Muskura utha khuda ka ghar dekho buturab aa gaya Zindagi jawan ho gaee deen per shabab aa gaya Paish sab hain zair aur zabar mast hain maani o asar Harf parh rahe hain manqabat waris e kitab aa gaya Chand ney bichaee chandni sajday kar rahee hai roshni Chupti phir rahee hai teergi kaun benaqab aa gaya Dil jala jala kay shaam ka keh raha hai yeh diya diya Fakhr e aftab aa gaya rashk e mahatab aa gaya Aa gaye madinay say ali chupte phir rahe hain sheikh jee Khud to pehle say kharab they waqt bhi kharab aa gaya Imtihan jab koi para ya hua kisi say marika Ghar say keh kay ya ali gaya aur kamiyab aa gaya Mil rahe hain khak mein badan gardanon say ur rahe hain sir Bud nasab munafiqeen per kaunsa azab aa gaya Yoon huaye khamosh sab kay sab goongay ho kay reh gaye arab Dushmanon kay her sawal ka bolta jawab aa gaya Gohar e aza chamak utha qabr mein farishton say kaha Ab sawal poochiye zara dainay her jawab aa gaya
Writer: gohar jarchvi Audio: baidarian 2005 Reciter: rizwan zaidi Karachi - pakistan |