|
|
Ek piyasa insan
Ek piyasa insan dariya dil insan Aab e baqa ka sir chashma hai kausar ki hai jaan
Jaam e vila kay peenay walay jiski piyas pay marte hain Jiski piyas ko sahil sahil sajday samandar kartay hain Jiskay dariya deewanay hain aashiq hain toofan
Abr e rehmat baras raha hai jiski piyas kay sadqay mein Sara jahan sairab hua hai jiski piyas kay sadqay mein Aab e rawan kya aab e zum zum sab is per qurban
Pyas ney jiskay bal bootay per dariyaoon per raaj kiya Mazloomon ko taqat bakhshi zalim ko mohtaj kiya Jiski pyas kay sagar peer kar deen charha parwan
Jis piyasay kay naqsh e qadam bhi rehmat kay parnalay hain Jiskay ek deedar pay qurban beenaee kay piyalay hain Jiskay ishq mein dooba hua hai aaj talak quran
Behr e shujaat behr e sakhawat behr e ataat sab iskay Ishq ki nadiyan husn kay jharnay chashma e rehmat sab iskay Donon jahan ki her ek shey per jis ney kiya ahsan
Jiski pyas ney barhtay barhtay toofanon ko ghair liya Zulm o sitam ki her sazish per pyas ney pani phair diya Dasht e bala ko jis ney banaya zulm ka qabrustan
Kehtay hain shabbir usay aur shabber uska bhai hai Khud yeh mohammad ka hai nawasa aur zainab maan jaaee hai Maan zehra hai baap ali hai dada hai imran
Jiskay qadmon ki mitti say husn kay zaiwar bantay hain Jiski pakeeza chokhat kay zarray gohar bantay hain Jiski yaad mein behnay walay aansoo hain marjan |