|
Her aik taraf
gulbari hai
Her aik taraf gulbari hai Yoon lagta hai mere mola tere aanay ki tayyari hai Tu babul ilm ka beta hai tu shehr e wafa ka shehzada Tere ishq mein jo deewana nahin woh aql o khirad say aari hai Tera ishq khuda ki rehmat hai tu noor ka paikar hai mola Jo tujh say adawat rakhta hai woh papi hai woh nari hai Tu samnay ho ya gaibat mein sab teri itaat karte hain Kya khoob hukumat hai teri kya khoob teri sardari hai Ae barhwain haider sher e nar duniya mein tere aane ki khabar Momin kay dilon ki rahat hai dushman kay dilon per aari hai Hum kya batlaein kya bolain tareekh gawahi daiti hai Jisay nara e haider yaad nahin woh fauj hamesha hari hai Apnon ki balaon ko katay gairon kay dilon ko chaak karay Yeh nara e haider to piyaray talwar hai aur do dhari hai Kuch yaar ka ghum na parwah ki jab khatra dekha bhaag gaye Jab maal luta to laut aaye yeh yaari nahin makkari hai Tere bughz say rab e kon o makan mehfooz rakhay her insan ko Na marnay day na jeenay day yeh yaari nahin makkari hai Lehjay ki sadaqat jab toli jab husn e sukhan ka wazn kiya Meezan e samaat bol utha rizwan ka palla bhari hai Tera sadqa milta rehta hai tera saaya rehta hai sir per Yoon shehr e hunar mein aaj talak gohar ki ijara dari hai |