|
Jo
rehmat e alam kay liye
Jo rehmat e alam kay liye rehmat e rab hai Beti who mohammad ki khadija kay sabab hai Ae bibi khadija tere chotay say makan mein Islam ko jiski bhi zaroorat hai woh sab hai Dolat jo khadija ney lutai to batao Kya pehlay bhi woh shakhs gani tha keh jo ab hai Momin hoon munafiq to nahin hoon keh na manoon Khushhal musalman khadija kay sabab hai Hota hai yahan tazkira e aal e mohmmad Woh shakhs he sunta hai keh jo aala nasab hai Ek nara e haider to lagao sir e mehfil Momin ka munafiq ko parakhnay ka yeh dhab hai Zainab ki rida cheenay walay ko khabar thee Islam ka parda isi chadar kay sabab hai Bekar hai hum lakh kahain unkay hain ashraf Ek bar agar khud woh kahain baat to jab hai
Writer: ashraf jarchvi Audio: baidarian 2005 Reciter: rizwan zaidi Karachi - pakistan
|