|
Mein
ney alam sajaya
Mein ney alam sajaya mein ney alam uthaya Mere sir pay wafa ney kiya ishq ka saaya Chaleen kausari mojain khuleen khuld ki raahain Jhukeen duniya ki nazrain utheen dil ki nigahain Mere bakht ka tara zara aur jagmagaya Chaleen kat kay balaein peechay hut gaye toofan Sab he kali ghataein hueen chaak greban Andhiyon ney qasida meri shan mein gaya Jaisay must hawaein jaisay bal khati nehrain Mere qalb mein aisay utheen ishq ki lehren Joonhi sir pay pharera khula aur lehraya Suni jaisay he us ney meri taaza kahani Liye taaza baharain liye taaz jawani Meri khushion ka mausam khushi khushi lot aaya Mere tun mun mein aisi basi khushboo vila ki Meri rug rug say aanay lagi mehek wafak ki Kabhi phir koi bagi mere pass na aaya Mujhe aisa sanwara tere lutf o karam ney Diye aisay ujalay mujhe kalay alam ney Mujhe dhoondta suraj mere ghar chala aaya Mein to barh gaya aagay peechay reh gaeein sadiyan Mujhe aik he pal mein mileen sadiyon ki khushyan Mein ney saray gamon ka kiya aisa safaya Mujhe dekh kay gohar hansay saray nazaray Lagi aag kisi kay bharak uthay angaray Jo tha bughz ka mara tapa aur tilmilaya
Writer: gohar jarchvi Audio: baidarian 2005 Reciter: rizwan zaidi Karachi - pakistan
|