|
Nasab
say teergi
Nasab say teergi her giz juda nahin hoti Bagair khaak e shifa kay shifa nahin hoti Her aik haal mein karna hussain ka matam Yeh woh namaz hai jiski qaza nahin hoti Jahan ka maqsad e khilqat samajh nahin aata Agar jahan mein hadees e kisa nahin hoti Samajhna karb o bala ko bohot he mushkil tha Jo zaat e zainab e mushkil kusha nahin hoti Na karti sajday agar yeh alam kay panjay per Jahan mein chalnay kay qabil hawa nahin hoti Janam day usko jo bughz e ali ka mara ho Sharif maan say to aisi khata nahin hoti Wahan kay log muqaddar ka rona rotay hain Jahan pay majlis e sarwar bapa nahin hoti Rida na daiti jo zainab to hashr tuc gohar Khuda kay deen kay sir per rida nahin hoti
Writer: gohar jarchvi Audio: baidarian 2005 Reciter: rizwan zaidi Karachi - pakistan
|