Suno shaan audio file

Suno shan suno zehra ki

Suno shan suno zehra ki

Yeh ismat ki malka hai konain ki hai shehzadi

Chadar hai tatheer isi ki – jannat hai jagir isi ki

Jise arsh kaha jaata hai – woh masnad hai zehra ki

Nabion kay sardar ki jaan hai – gayara imamon ki yeh maan hai

Aur arsh e bareen per iski – haider say hue hai shaadi

Deen e khuda ko is ney pala – iska nasab hai aisa aala

Khud aasiya mariyam hawwa – sab is per sadqay wari

Khali kar kay apni jholi – jis ney bhar di deen ki jholi

Hai naam khadija jiska – yeh beti hai us maan ki

Surat mein allah ki rehmat – karti hai tazeem nabuwat

Uski her baat mashiat – her faisla hai qurani

Kehtay hain gulzar yeh saray – pakki hai yeh baat bhi piyare

Use bagh e jinan nahin milta – jo zehra say hai baghi

Kya aqlon pay aae tabahi – us bibi say mangi gawahi

Jiska sadqa bhi ragon mein – bhar daita hai sacchai

Sehrai ho ya ho aabi – koi sahabi ho ya wahabi

Woh dozakh mein jaayega – jis ney bhi baat na mani

Rizwan darzi ban kay aaye – patthar bhi gohar ban jaaye

Woh hukm nahin tal sakta – jo hukm day aqazadi

 

 

Writer: gohar jarchvi

Audio: baidarian 2005

Reciter: rizwan zaidi

Karachi - pakistan