|
|
Thero thero musalmanon
Thero thero musalmanon thero zara Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Dil machalnay lagay aa gaee karbala Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Dekho dekho hai bicha hua aasman Pak bazon ki mehfil jami hai yahan Anbia parh rahe hain hadis e kisa Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Is zamin per he milte hain donon jahan Hai ilaaj e gum e deen o duniya yahan Hai yaheen per shifa aur khaak e shifa Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Khud yahan mot hai zindagi ki ameen Yaan pay koi kisi ka mukhalif nahin Chal rahee hai hawa jal raha hai diya Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Ghoomte phirte rehtay hain rooh ul ameen Raqs karte hain paiham ujalay yaheen Jhoomti hai yaheen rehmat e kibriya Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Deen say nagawari gawara nahin Maslehat ka yahan per guzara nahin Is jagah saaf suthri hai aab o hawa Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Ba adab ba adab ba adab ba adab Jalwa farma hai khud saqi e tashna lab Aane wala hai gardish mein jaam e vila Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Chalna hai to chalo warna ho jao gum Ab hamari taraf say kahin jao tum Itna samjha chuke ho gaee intiha Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Is ilaqay mein koi munafiq nahin Yoon tumhara to jaana munasib nahin Aa rahee hai ali ya ali ki sada Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay Woh jo bazoo bureeda alamdar hai Woh jo nehj ul wafa ka qalamkar hai Hai yaheen woh sheheryar e shehr e wafa Hum idhar jaayenge tum kidhar jaoogay |