Innama yureedullahu
li yudh’hiba ‘ankumur-rijsa, ahlal bayti way u tahhirakum tatheera
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
1. Tumhaare naam ke sadqe mei,
Mile hai(n) dono jahaa(n) humko
Tumhare naam ki hai
ye zami(n),
mila hai tumse qur’a(n) humko
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
2. Wo kaysa zakhm-e-judaayi tha, Nabi ke paak
gharaane par
Ghame firaaqe mohammed
ko, kabhi na bhool sake haider
Fidak ko chheen chheenenge zalim, jalega tera
yaqeenan dar
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
3. Azeem rab ki qasam khaakar,
nahi hai isme koi bhi
shak
Ali ki tarha
bahaddur to, jahaa(n) mei koi
nahi ab tak
Nahi mukammal inke bina,
payghaam-e-Ahmed deen-e-khuda
Ali ke naam
pe chalta hai, ye kayinaat ka har maslak
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
4. Wo dar ko kyu(n) nahi
pehchaana, jise rasul bhi bosa
de,
Wo dar jalaya zalim ne, jaha pe maut
ijaazat le,
Wo pasliyo(n)
pe giraya dar, ye kaysa waqt
hai zahra par
Ke ghash me binte payambar thi, wo darpe fizza sadaae de
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
5. Urawo khaak azadaro, ye matami ka taqaza hai
Abhi firaaqe zahra ka, jigar me zakhm bhi taza hai
Jigar ke tukre waha
nikle, kafan hai aapka khun
me tarr
Nahi hai jurm siwa
iske, ye mujtaba ka janaza hai
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
6. Wohi Hussain jisse ahmed, dete
the gardan par bosa
Wo jalti rayt pe
karbal me, para hai zahra ka jaaya
Gala hussein
ka pyaasa hai, jo kund khanjar
se hai kata,
Shimar laeen tha sine par khanjar jo
has ke chalata tha
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
7. Ye kayse log the karbal me, khudara zulm hai
ye kaysa,
Jo mustafa ka tha
pyaara, ussi hussein ko
hai maaraa
Ab imtehan hai ye logo, abhi hai shaam
abhi kufa
Ali ki betiya(n) hai dar dar,
hujoom ghayr ka hai saaraa
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2
8. Zamana dekh raha hai ab,
teri duao(n) me kya dam hai,
Ke do jahaan mei
ay zahra, tere Hussain ka matam hai
Rakhenge zinda qayamat tak,
Yahi "Tejani" ka wada
hai
Kabhi na hoga
ye gham kam, hamare sine me ye dam hai
(Ya mustafa, ya murtaza, ya
zahra, ya hassanain) x2