1.
Qasim nahi hai(n), Akbar
nahi hai(n)
Had hai yahi ke,
Asghar nahi hai(n)
Ab na
bacha hai, koi sahara
Kulsoom
ka hai, ye bayn lab par
(Haaye shaam ka majma, aada ka hai nargha, abbas
chale aawo) x2
2.
Aun-o-Muhammad, ko laayi zainab
Bacho(n)
ko qurbaan, kar aayi zainab
Sadmaa-e-kulsoom bas yahi tha,
Qurbaan kardu(n), mei kisko
sheh par
3.
Abbas aaye khaime me dekha,
Sar ko jukaaye
bethi thi behna,
Kulsum tumhaare naam par me,
sar apna dunga
maqtal me jaakar
4.
Kulsum kaise bhoole wo manzar
Jalte the khayme, chhinti thi chaadar
Abid ko jhalte khaymo(n) se Zainab
Kaandho(n) pe laayi,
abbas bankar
5.
Shaam-e-gharibaa(n), jab ban me chaayi
Bali Sakina, maqtal me aayi
Kulsoom tanha, ban mei khari
thi
Koi nahi tha, munis-o-yawar
6.
Masum bachi, darbaar ka dar,
Noke sina par hai baap ka sar,
Har ik taraf hai ghayron
ka majma
Kisko bulaaye, sarwar ki dukhtar
7.
Parde ka zamin, Abbas ka
sar
Rehta nahi hai, nok-e-sina par
Bazaar mei jab, kulsoom
aayi
Manzar na
sehpaya wo dilawar
8.
Kaise chalengi, beti ali ki,
chaaro(n) taraf hai
majma sharabi
Zalim ka majma, sarwar ka kunba
Guzrenge kaise, aal-e-payambar
9.
Darbaar me jab zalim
ne pucha
Tumme se zainab hai naam
kiska
Darbar ka dar rokar pukara
Ho tum kahaan ay fatahe
khaybar
10.
Bus ye
dua hai kulsoom
bibi,
Nawha sunaaye jab bhi “tejani”
Har dam rahe hum dono pe qayam,
Ghazi ke parcham, ka saya sar par