Hussain ya Hussain
Ya laytanee kuntu ma’akum,
Fa afooza ma’akum
Wa la farraqallahu baynana
Wa salallahu alaykum
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
1. Wo tera laqab
hai sheh-e-mashraqayn, tera nana jaa(n) chalta quran
hai
Wo madar tumhari hai
khayrun-nisa, wo baba tera kulle
imaan hai
Hai fakhr-e-rida
haaye behna teri, hassan
lawh-e-mehfuz ki jaan hai
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
2. Ay shabbir ke matami sun zara,
tu leta hai
zahra ke dil ki dua
Ye khutbo(n) mei Zainab batati
rahi, zamana karega humari azaa
Hai pursa ye zehra ke gham
ke liye, hai zainab ki
qurbani ka mojeza
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
3. Hai uncha alam
tere abbas ka, bicha hai tera
farsh-e-gham har jaga
Bahate rahenge tere
naam mei,
lahu ka samandar habib-e-khuda
Har ik ashk
mei hai
likha ya Hussain, Hai pehchaan
momin ka matam tera
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
4. Juloosei(n) nikalte hai(n) rasto(n) mei aur, Ye duniya
ko dikhlaatei(n) hai(n) tera gham
Kabhi aag par ho rahi hai aza,
Ye khud dekhte hai julooso(n) mei ham,
Zamana ye karta hai kohshish magar,
Kabhi sar
jhukaata nahi hai alam
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
5. Hai afsos ke
zikr-e-aal-e-nabi, bari karobaar
ab jahaa(n) mei bani
Wo kaise kahe
khud ko zakir
tera, hai payso(n) pe jinki nigaahei(n)
pari
Nahi maantei(n) aise zakir
ko ham, jihei(n) kuch khabar bhi
nahi shaa(n) teri
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
6. Chalo sab azadaar
karbobala, karenge wahaa(n) raat din ham aza
Wahi(n) sar zamee(n)
pe jahaa(n) par hussain, ka be sar badan reyt par tha para
Jaha par bujha sheh ka har ik
diya, jaha par chhini bibiyo(n) ki rida
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
7. Kyu(n) khof-e-ajal se pareshaa(n) huwe, hai nisbat
juri ab to Shabbir se
Hai matam bapa
aaj har aan
mei, Kabhi
haath se aur zanjeer se,
Hai zainab ki
sunnat aza-e-hussain, mila hai
hamme teri
hamsheer se
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
8. Ye matam se milta hai hamko
khuda, Ye matam hai khud sunnat-e-ambhiya
Ye matam
har ik marz
ki hai dawa,
ye matam hattata hai har ik
bala
Ye matam
hai shaytaaniyat ki qaza, ye matam
hai sab momino(n) ki baqa
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2
9. Haaye kal the Zainab
ke bazu bandhe,
na kar paayi
matam shaheedo(n) ka tab
Meri shaahzadi aza-e-hussain, “Tejani” bapa karte
hai aaj sab
Ye baqi
rahegi sada nasl mei,
lahu mei mila hai tera
naam ab
(Hussain
ya hussain ya hussain ya
hussain) x2