Jaffare Sadiq
Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee
Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee
Allah, Wa taqabal
miman yashfaooli
Allah, Ighfirli khataee wa dhunoobee
Allah, Ultufbee wastoor li ayoobee
Allah, Wa taqabal
miman yashfaooli
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
1. Baba
tumhaare baqir, Madar hai umm-e-farwah
Rehmat
mei sab
se kasrat, Sarkaar mei ho aala
Tum
shaam ki siyaahi, ko
payrahan banaakar
Har
raat mufliso(n) ko, haatho(n)
se hai khilaya
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
2. Tumhaari
aur nabi ki, ik roz
hai wiladat
Aur
raah-e-adl-o-haq mei,
thi aapki shahadat
Ahmed ki ruh teri,
ruh se juri huwi hai
Saare
malak pe waajib, hai aapki
itaa’at
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
3. Godi
hai jinki khaali, awlaad unhe ataa kar
Maqrooz
momino ka, jo
karz ho ada kar
Hai
be khata jo
qaydi, dede unhe bashaarat
Karte
hai ham tawassul, haatho(n)
ko ab utha
kar
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
4. Bechayn
ye jigar hai, Ham tumse jo juda
hai
Yasrab
ko tum
bulaalo, lab pe yahi dua hai
Aake
kare ziyarat, aur ashk ham bahaaye
Tere
liye ay maula, ye dil tarap raha
hai
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
5. Tumko
sata raha tha, ashur ka wo
manzar
ik
behn ne jo dekha, ik bhayi
zeyr-e-khanjar
Pyaara
sa uska
chehra, dekha tha khun mei
tar
Rokar
wo gir
pari jab, tan se juda huwa sar
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
6. Angur
ka gahal jab, mansur tumko bheja
Tab sakht zehr usne, angur
mei tha
daala
Khaakar
laraz raha tha, Maula badan
tumhara
Girya
kiya uthaakar, Kazim tumhaara lasha
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2
7. Baade
teri shahadat, duniya mei aaj
tak bhi
Zahir
tera asar hai, roshan khuda
ke raah ki
Dam se tumhaare qayam, iman jaafari
ka
Shiyyo(n)
ka fakhr tum ho, bole na kyu(n) “Tejani”
(Jaffar-e-sadiq, jaffar-e-sadiq) x2