Lo agaya bazaar
(Lo agaya bazaar) x10
(Bazaare shaam hai, bazaare
shaam hai) x2 Bazaare sham hai
Mazlum ka kunba, jab sham ko
poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar
1. Meri phuphi amma, roti hai(n) be parda, lakhon ka hai
majma, lo agaya bazaar
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
2. Ye soch ke rota hu(n), maa behne khule sar hai
Kistarha se dekhuga, jo
samne manzar hai
Neze pe hai ik sar, rota hai
jo aksar, karta hai jo nawha
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
3. Bazu hai bandhe mere, mei kuch nahi kar sakta
Bochaar hai patthar ki, ham
sab hai rassan basta
Hai khun ka darya, jo sar se
hai behta, haste hai ye aada
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
4. Har eik qadam baba, qur’an sunaata hai
Aur aag ke pathhar khud,
chehre pe wo khata hai
Zahra ka dulara, Ahmad ka
nawasa, hai barsare neza
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
5. Parde ka muhaffiz ab, sar apna giraataa hai
Khu(n) rota hai wo ghazi,
jab bhi nazar aata hai
Zainab ka khula sar, aur
shaam ka manzar, sar pe nahi parda
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
6. ay habsh ke maki(n) ye, fizza ki sada aayi,
thi aapki shahzadi, aur aaj
hun me qaidi
ay mere bahaddur, kar itna
tassawur, hun aapki malka,
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
7. aur shimr ye abid se, kis fakhr se kehta hai,
Parda teri zainab ka neze se
utara hai,
Quwwat hai ye meri, ahmed ki
nawasi, ko shaam me layaa
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
8. wo nanni sakina ko manga hai kanizi me,
me marta hun jiteji maahole
sharabi me,
ghabrati hai bachhi, aur hoke me bhayi, kuch kar nahi sakta
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
9. Maut ayegi zindaa(n) mei, pyaari meri behna ki
Hathon se banaunga, me qabr
sakina ki
Wo khun bhara kurta, har aik
tamacha, ye usko hai sehna , lo agaya bazaar
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
10.
maula ko madine
me, ik shaks ne jab puchha
jo sab se musibat thi, wo
konsa manzar tha,
mola kahe rokar, dil soz tha
manzar, nazron me jo chhaya
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2
11.
Jis bibi ko
suraj ne, hargiz nahi dekha tha,
Beparda khari thi wo, shaitano
ka majma tha
Chehre ko “Tejani”, baalo(n)
se chupaayi, parhti rahi khutba
(Mazlum ka kunba, jab sham
ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2