Abbas Ho Kahaan
(Mere Abbas ho kahaa(n))
x2
Abbas ho kahaa(n), mere
Abbas ho kahaa(n)
Bemakhna aur be chadar
Kehti hai bibi Zainab
rokar
Ay sheyr-e-karwaa(n)
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Sharm ye ati hai mujhko
ke, sar pe nahi koi bhi parda
Sharm ki had hai ye ghazi
ke, dekh rahe ho tum ay bhayya
Kaise karu(n) baalo(n) ki
chadar
Khaak-e-shifa ko sar pe
rakh kar
Ab hu(n) mei yak-zabaa(n)
Mere abbas ho kahaa(n)
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Gham se bhara hai qalb ye
mera, Sham ke is darbaar ke andar
Tasht tille pe bhayi ka
sar hai, nok-e-sina par tu ay dilawar
Zakhm hazaro(n) hai ye dil
mei(n)
Mei hu(n) anbaar-e-qatil
mei(n)
Hu aayina-e-maa(n)
Mere abbas ho kahaa(n)
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Ponch gaye shiree(n) ke
gar pe, pooch rahi hai wo hasrat se
Saath mei aye hai kya maula,
ayi hai Zainab kya ghurbat se
Boli ke haaye mei hu(n)
Zainab,
Aal-e-muhammad ke bete
sab,
Neze pe hai(n) yahaa(n)
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Choti si qabrei(n) kitni
banawu(n), sham ke raste mei bacho(n) ke
Sukhi zabaa(n) hai garm
hawa hai, hosh nikalti hai pyaaso(n) ke
Eik rasan aur bara gale
hai
Taziyaa(n) aur durre lagte
hai
Hai pusht par nishaa(n)
Mere abbas ho kahaan
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Jiske gale par khud ahmad
ne, bose lagaaye the roro kar
Khaymo(n) ke dar se dekh
rahi thi, hone laga jab tan se juda sar
Tha bachpan mei
sawaar-e-payambar
Aya hai jo ye Nok-e-sina
par
Hai natiq-e-quraa(n)
Mere abbas ho kahaan
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
tum bhi nahi mere ghazi
aur, na akbar hai na asghar hai
had hai ke ab mere sar par
bhi, bhayi nahi koi chadar hai
khake pathar zalim se ye
Sham ke zinda(n) ko behne
ye
Jaati hai al-amaa(n)
Mere abbas ho kahaan
(Aal-e-nabi aur sham ka
rasta, Koi nahi zainab ka sahara, Abbas ho kahaa(n)) x2
Bali sakina ko zinadan me,
chhoti lahad me dafn karke
Yaad ayi apne bhayi ki, us
pal binte ali ko had se
Phat’ta hai dil likh kar
ay “Tejani”
Zinda(n) mei zainab ye
pukari
Lekar jo siskiyaan
Mere Abbas ho kahaa(n)